Lyrics
Tum Aa Gaye
(har saans sulajh rahi thi uljhaane ko tum aa gaye
jo aag bujh rahi thi bhadkaane ko tum aa gaye) - 4
har kadam par havaa hai kathin waasataa
jine kaa hausalaa dard kaa silsilaa
saans aazaad hai jinaa dushawaar hai
pehele din ke liye bahut pyar hai
ye din gin ke jee raha hoon aazamaane tum aa gaye
main kab kaa mar chukaa bataane tum aa gaye
har saanse sulajh rahi thi uljhaane ko tum aa gaye
jo aag bujh rahi thi bhadakaane ko tum aa gaye
koi kehtaa yahaa zindagi saj gayi
koi kehtaa wahaa zindagi mit gayi
ek tamanna yahaa ek tamanna wahaa
ek bharosa yahaa aur nafarat wahaa
mausam khil rahaathaa dil jalaane tum aa gaye
raste pe main chal padaa thaa behkaane tum aa gaye
(har saans sulajh rahi thi uljhaane ko tum aa gaye
jo aag bujh rahi thi bhadakaane ko tum aa gaye) - 2
------------------------------------------------------
Hindi Song Title: Tum aa gaye ho noor aa gaya hai
Hindi Movie/Album Name: AANDHI
Singer(s): LATA MANGESHKAR, KISHORE KUMAR
Hindi Lyrics:
Tum aa gaye ho noor aa gaya hai - 2
Nahi to charaago se lau jaa rahi thi
Jeene ki tumse wajeh mil gayi hai
Badi bewajeh zindagi jaa rahi thi
Tum aa gaye ho noor aa gaya hai
Kaha se chale kaha ke liye ye khabar nahi thi magar
Koi bhi seera jaha jaa mila wahi tum miloge
Ke ham tak tumhaari duwa aa rahi thi
Tum aa gaye ho noor aa gaya hai
Nahi to charaago se lau jaa rahi thi
Tum aa gaye ho noor aa gaya hai
Din dooba nahi raat doobi nahi jaane kaisa hai safar
Khwaabo ke diye aankho mein liye wahi aa rahe the
Jaha se tumhaari sada aa rahi thi
Tum aa gaye ho noor aa gaya hai
Nahi to charaago se lau jaa rahi thi
Tum aa gaye ho noor aa gaya hai










